Thursday, May 7, 2009

Anant

kehte hain har shuruat ka ek ant hota hai
bas chaah to yehi ki ye shuruat anant ho

har zindagi se hoti hai uski maut judi hui
bas chaah to yehi ki maut anant ho

har sawal ka ek jawab hota hai
bas chaah to yehi ki jawab koi sawal na ho

kalpanayen bhi soch ke dayre mein reh jaati hain
bas chaah to yehi ki dayra anant ho

raatein kat jaati hain subah ke intezaar mein
bas chaah to yehi ki shaam anant ho

No comments:

Post a Comment